Dushman 1971 Songs Lyrics

Vaada Tera Vaada Lyrics

haa.N …, sachchaaI chhup nahii.n sakatI, banaavaT ke usuulo.n se
ki khushabuu aa nahii.n sakatI, kabhI kaagaz ke phuulo.n se !

mai.n intazaar karuu.N, ye dil nisaar karuu.N
mai.n tujhase pyaar karuu.N, o magar kaise aitabaar karuu.N ?
jhuuThaa hai teraa vaadaa !
vaadaa teraa vaadaa, vaadaa teraa vaadaa – (2)
vaade pe tere maaraa gayaa, bandaa mai.n siidhaa saadhaa
vaadaa teraa vaadaa, vaadaa teraa vaadaa – (2)

tumhaarii zulf hai yaa, sa.Dak kaa mo.D hai ye ?
tumhaarii aa.Nkh hai yaa, nashe kaa to.D hai ye?
kahaa kab kyaa kisI se, tumhe.n kuchh yaad nahii.n
hamaare saamane hai, hamaare baad nahI.n
kitaab-e-husn me.n to, vafaa kaa naam nahii.n, are !
(mohabbat tum karogii ? tumhaaraa kaam nahii.n !) – (2)
aka.Datii khuub ho tum, merii mahabuub ho tum – (2)
nigaah-e-gair se bhii, magar manasuub ho tum
kisii shaayar se puuchho, gazal ho yaa rubaa_ii
bharii hai shaayarii me.n, tumhaarii bevafaa_ii
ho ! daaman me.n tere phuul hai.n kam, aur kaa.NTe.n hai.n zyaadaa
vaadaa teraa vaadaa, vaadaa teraa vaadaa – (2)
vaade pe tere maaraa gayaa, bandaa mai.n siidhaa saadhaa
vaadaa teraa vaadaa, vaadaa teraa vaadaa – (2)

taraane jaanatii hai, fasaane jaanatii hai
ka_ii dil to.Dane ke, bahaane jaanatii hai
kahii.n pe soz hai tuu, kahii.n pe saaz hai tuu
jise samajhaa naa koii, vahii ek raaz hai tuu
kabhii tuu ruuTh baiThii, kabhii tuu muskaraa_ii, are !
kisii se kii mohabbat, kisii se bevafaa_ii ! – (2)
u.Daae hosh taubaa, terii aa.Nkhe.n sharaabii – (2)
zamaane me.n huii hai, inhii.n se har kharaabii
bulaae chhaa.Nv koii, pukaare dhuup koii
teraa ho ra.ng koii, teraa ho ruup koii
ho ! kuchh phark nahii.n naam teraa, raziyaa ho yaa raadhaa !!
vaadaa teraa vaadaa, vaadaa teraa vaadaa – (2)
vaade pe tere maaraa gayaa, bandaa mai.n siidhaa saadhaa
vaadaa teraa vaadaa, vaadaa teraa vaadaa – (2)

Balma Sipahiya Lyrics

ho balma sipahiya haye re teri banduk se dar lage
ho lage re jiyra dhak dhak dhak dhak dhak dhak jor se bhage
ho balma sipahiya haye re teri banduk se dar lage
ho lage re jiyra dhak dhak dhak dhak dhak dhak jor se bhage
ho jiyra dhak dhak dhak dhak dhak dhak jor se bhage

sarma ke pritam teri prem bhari bato se
dhaanp diya re jalta deepak maine hatho se
kal pipal ki chaw me bate hongi gaaw me
daiya re daiya haye re meri bairan padosan jage
jage re kangna khan khan khan khan khan khan bajan lage
balma sipahiya haye re teri banduk se dar lage
ho lage re jiyra dhak dhak dhak dhak dhak dhak jor se bhage

sham ko pakda hath sawere tak na choda re
kaise bedardi se babul ne nata joda re
tauba ram duhayi re, mud gayi meri kalayi re
mar gayi mai mayya haye re ib kya ho iske aage
aage re payal chan chan chan chan chan chan jor se baje
balma sipahiya haye re teri banduk se dar lage
ho lage re jiyra dhak dhak dhak dhak dhak dhak jor se bhage

Paisa Phenkho Tamaasha Dekho Lyrics

E dilli kaa kutub
Minaar dekho
Ghode pe banka
Sawaar dekho
Kalakatte kaa
Chauragi baazaar
Ghar baithe sara
Sasaar dekho
Paisaa pheko
Tamasha dekho
Ho paisaa pheko
Tamasha dekho

Ho ho ho ho
Dekho re lakhanau ki
Ye hai bhul bhulaiyaan
Dekho re lakhanau ki
Ye hai bhul bhulaiyaan
Rastaa bhul na jaanaa
Chalanaa thaam ke baiyaan
Paise nahi to udhaar dekho
Raadhaa se kaanhaa
Kaa pyaar dekho
Dekho himaalaa
Parbat hai ye
Ghar baithe sara
Sasaar dekho
Paisaa pheko
Tamasha dekho
Ho paisaa pheko
Tamasha dekho

Dekho dekho dekho
Baaiskop dekho
Dilli kaa kutub
Minaar dekho
Bambai sahar ki
Bahaar dekho
Ye aagare kaa
Hai taajamahal
Ghar baithe sara
Sasaar dekho
Paisaa pheko
Tamasha dekho
Ho paisaa pheko
Tamasha dekho

Ho ho ho ho
Aai re mai aali
Baaiskop waali
Aai re mai aali
Baaiskop waali
Khel khatam hota
Hai bachcho bajaao taali

Dekho dekho dekho
Darapok dulhaa
Wada karake jo bhulaa
Jaise saawan kaa jhulaa
Kabhi idhar kabhi udhar
Kabhi niche kabhi upar dhat
Logo kaa paise se
Pyaar dekho
Shaadi biyaah kaa
Byopaar dekho
Ye do dilo ko
Milane naa de
Duniya ki unchi
Deewaar dekho
Paisaa pheko
Tamasha dekho
Ho paisaa pheko
Tamasha dekho

Beti ik garib ki
Mitti kaa khilaunaa
Beti ik garib ki
Mitti kaa khilaunaa
Jag waalo ko chaahiye
Chaandi aur sona
Duniya hai mithi
Kataa dekho jaalim
Ye saramayadar dekho
Ham se garibo
Se sarakaar ne
Maangaa dahej
Das hajaar dekho
Paisaa pheko
Tamasha dekho
Ho dekho dekho
Tamasha dekho
Ho dekho dekho
Tamasha dekho
Ho dekho dekho
Tamasha dekho
Ho dekho dekho
Tamasha dekho
Ho dekho dekho
Tamasha dekho.

Old Hindi Bollywood Songs    Shreya Ghoshal Songs 2021 2022

Maine Dekha Tune Dekha Lyrics

Maine dekha tune dekha
Maine dekha tune dekha
Isne dekha usne dekha
Sab ne dekha
Maine dekha tune dekha
Isne dekha usne dekha
Sab ne dekha

Kya dekha kya
Dekha ik dushman
Jo doston se pyara
Hai ik dushman
Jo doston se pyara hai

Maine dekha tune dekha
Maine dekha tune dekha
Isne dekha usne dekha
Sab ne dekha
Kya dekha kya
Dekha ek gaanv
Jo shaharon se bhi
Nyara hai ek gaanv
Jo shaharon se
Bhi nyara hai
Dushman dushman
Jo doston se pyara hai

Aaj sazaa denge tujhko ham
Teri sab bhoolon ki
Aaj sazaa denge tujhko ham
Teri sab bhoolon ki
Tere gale mein ham daalenge
Ye mala phoolon ki
Is gaanv ki reet yahi hai
Jeewan sangeet yahi hai
Aaj ke din ka geet yahi hai
Yahi hai

Maine dekha tune dekha
Maine dekha tune dekha
Isne dekha usne dekha
Sab ne dekha
Kya dekha kya
Dekha ik chaand
Jo sabki aankh kaa
Tara hai ik chaand
Jo sabki aankh kaa tara hai
Dushman dushman
Jo doston se pyara hai

Zanjeero se bhi pakke hain
Prem ke kacche dhaage
Zanjeero se bhi pakke hain
Prem ke kacche dhaage
In kacche dhagon ko
Todke qaidi kaisi bhaage
Aaya leke hariyali tu
In baaghon ka mali tu
In kheton ka haali tu haali tu

Maine dekha tune dekha
Maine dekha tune dekha
Isne dekha usane dekha
Sabane dekha
Kya dekha kya dekha
Ik qaidi jo pahredar
Hammara hai
Ik qaidi jo pahredar
Hammara hai
Dushman dushman
Jo doston se pyaara hai

Sab ne maaf kiya mujhko par
Main hoon jiskaa doshi
Sab ne maaf kiya mujhko par
Main hoon jiskaa doshi
Kab tootegi uske ghaayal
Honthon ki khaamoshi

Wo bhi maaf kare to jaanoon
Man ko saaf kare to jaanoon
Insaaf kare to
Jaanoon to jaanoon
Mera nahin tera nahin
Mera nahin tera nahin
Iskaa nahin uska nahin
Kisi kaa nahin
Ye dosh taqdeer
Kaa sara hai
Ye dosh taqdeer
Kaa sara hai.